Saturday 24 January 2009

Ab Chalta Hun Bas..

This poem was written in the wee hours of my last day in college,(2005, Hassan, Karnataka) post farewell. A farewell in many ways :)
--------------------------------------------------------------------------

Ab chalta hun bas
Ke shayad samaye pura ho raha hai,
Roshni Dhoomil si ho gayi hai
Sashi to bas yunhi behla raha hai
Mujeh to sooraj ke saath chalna hai,
Dekho kitne weg se chala ja raha hai
Ab chalta hun bas..

Beh jaane do ke ab
Leher adhura ho raha hai,
Raahein badal rahi hai
Yeh safar poora ho raha hai
Ab chalta hun bas..

Aawaaj ladkhadaa rahi hai
Savera aankhon mein aa raha hai
sapno ka saagar thithurkar,
door chala ja raha hai
Muskuraate chehron se kyun,
Siskion ki aahat si aa rahi hai
Thakaan hai shayad,
Palkon ko bhigoti chali ja rahi hai
Itni tej roshni hai
Yun lagta hai ke andheraa ho raha hai
Fir se giraftaar naa ho jaaun
Har oor kiRnon ka ghera ho raha hai
Ab chalta hun bas
Ke shaayad samaye pooraa ho raha hai..

No comments: