Saturday 24 January 2009

ख़याल:: येः दिल :)



Bahut samjhaaya is dil ko
Ke yun aitbaar na kar,
Umeedon ki jhoothi tasveeron mein
Khwaahishon ke rangon ko bekaar na kar |

Par ye mann kaahaan maanta hai
Maasoom.. Chehron ke sach ko kaahaan pehchanta hai,
Har ek makhaute ko seene se laga leta hai
Jaanta hai jal jaayega,
Fir jaane kyun
Unki anjaan aahaton ko apna bana leta hai ||
-Kshitij

1 comment:

Anonymous said...
This comment has been removed by a blog administrator.